mujhe khuda ne khilafat ka sharaf bakhsha hai mere hi zer-e-nagin is jahan ko rakkha hai magar ajib nizam-e-jahan ki haalat hai mere hi dosh pe aalam ka bar-e-khidmat hai mashaqqaten hi likhi hain mere muqaddar mein nahin sukun kabhi mere qalb-e-muztar mein hai qasd ab ki karun ek jahan-e-nau aabaad rahun tafakkur-e-farda-o-dosh se aazad jahan ki kashmakash-e-zist ka nishan na ho hayat-e-sabr-o-mashaqqat ka imtihan na ho ye sar-zamin ye samundar ye aasman na ho darun-e-dam-e-qafas mera aashiyan na ho jahan ki gham ki ghata ruh pe na chhane pae jumud aalam-e-ehsas par na aane pae jahan ki nur rahe mere dil ki basti mein shabab-o-sher ke jalwe hon meri hasti mein wahan main dil ki umangon ke git gaunga wahan main husn ko apna khuda banaunga