naddi ki lahren sote sote jaise ek dam jag padin aur jhapat padin in gile gile mitti baalu kankar patthar aur cement ke pushton par jin se un ko bandh ke sab ne rakh chhoda tha lahak lahak kar nach nach kar shor machati chaaron or gali gali kuche kuche mein gharon mein sehnon mein kamron baghon mein kone kone mein wo jhat-pat ghus aain chadh-daudin koi chiz na chhuti un se bartan, basan, zewar, kapde kursi, mez, kitaben bhule-bisre khat pattar taswiren dastawezen tahriren bekar padi chizen wo jin ke hone ka bhi pata na tha lahron ne un ko gher liya daman mein apne bhench liya kichad mitti mein lat-pat kar dala aur sab kuchh le kar dub gain! phir jaise ik-dam aai thin, waise hi har har karti bal khati, ithlati, nikal gain 2 ai kash, dilon mein ruhon mein aisi ek chanchal badh aae bekar daron ke dheron par himmat ki lahren bikhra de khud-gharzi ke sanduqon ko ek jhatka de kar ulta de phade lalach ki poton ko jalon ko jahl o shaqawat ke aur zulm ki gandi makdi ko chikni kalakh ko tassub ki nabud kare napaid kare yun nam kar de dil ki kheti ummiden sab lahra utthen gulnar shagufe ulfat ke sukhi jaanon se phut paden ai kash dilon mein ruhon mein aisi ek chanchal badh aae