dekha hai kisi ne use kahin aadhe sar mein uljhe uljhe ujle baal sanwle rang ke chehre par bhi ujle baalon ka bhaunchaal us ki surat kabhi kabhi malgaji sham si kabhi sahar nurani hai andhiyare ujiyale ki ye surat fann-e-la-fani hai peshani ke aaine par mar-mitte lakhon aakash diwani diwani aankhen aur bahut be-sabr nigahen dusht-manon ke har patthar mein prit aur komalta ki talash us ke tan par garm kafan aur thandi kafani sajti hai sachcha rup hai pagal-pan ka behad ajib hasti hai mast anek nashon mein us ke sab din aur sab raaten us ke bahke qadam karen dharti ke dil se baaten gali gali mein chaurahe par bhid ho ya ho tanhai is duniya ke hosh kar parkhe, nashe mein us ki binai dekha hai kisi ne use kahin