jawan raaton mein kala dasht qalib mein utarta hai ki mere jism o jaan ke margh-zaron ki mahak hawa ke dosh par raqs karti hai pyasi ret sahraon ki dhansti hai rag o pai mein udhadte hain masamon se lahu-zaron ke chashme barf kohsar ke sare parinde git gate hain habab uthta hai gahre nil-gun zinda samundar ka himala sans mein dhal kar glacier sa pighalta hai jawan raaten regzaron ki pyasi ret samundar ka habab barf kohsar ke sare parinde himala aur glacier jawan raaton mein meri kaenaton mein nae sayyare aur taza jahan daryaft karte hain ki mujh par lafz barish se utarte hain