kis ki pakad mein aaen chalti hawa hain bablu aandhi ki tarah dekho ye ja wo ja hain bablu ek pal jo dekhiye to diwar par chadhe hain jhapki palak to dekho dauden laga rahe hain rippo ko mari takkar sidhi pe chadhte chadhte mammy ke hath mein tha jo gir gaya wo tad se papa ne cycle to bilkul nai dilai ab kya hai is ka huliya kaise hua ye bhai haindle hai ab na pedal na seat thik se hai ye to batao koi is ko chalae kaise aur ab bigad rahe hain kya cycle dilai ek do mahine bhi to kambakht chal na pai diwar ki ghadi ka tuta pada hai ghanta is par bhi dast-e-shafqat shayad unhon ne phera bigda tha fan kuchh kuchh sara bigad dala puchha to bole main to is ko bana raha tha kuchh boliye to kaise mazlum se khade hain aankhen hain dabdabai lab kapkapa rahe hain aise ko kahiye koi dante to kaise dante saman ghar ka kya hai in par to jaan sadqe