bartari apni kya jatata hai ye kamai to tu bhi khata hai itna kahna dalil hai goya aur tu bhi asil hai goya do sharifon ki sun ke ye takrar main khada rah gaya sar-e-bazar aur hairat mein aisa gharq hua kal-adam ek ek farq hua nazish-o-asl-o-rang ke afsun ghairat-e-nam-o-nang ke afsun main yahan bhi sabhi qarinon mein ek si dhadkanen hain sinon mein kasb-e-majbur par bhi ye ehsas izzat-e-nafs aur waza ka pas aisa baatil tilism-e-rang hua munhadim qasr-e-nam-o-nang hua is tarah mit gain meri aqdar qahqaha ban gae dar-o-diwar khandani shanakhten mat puchh izzaten aur sharafaten mat puchho