mujhe apni maut se bahut mohabbat hai maut zindagi ka sab se bada sach hai mohabbaton mein judai wasl ke baad ka koi marhala hoti hai magar ye mohabbat riwayati nahin yahan to wasl ke intizar mein puri zindagi judai ko dan karna padti hai mohabbat aur tashwish ke talluq se kis ko inkar hoga aur maut se ziyaada tashwish-nak shai aur kya hogi mujhe apni maut se ishq hargiz nahin ye mera junun bhi nahin sirf mohabbat hai wasl ka lutf isi surat mein aata hai jab wo apne muqarrara waqt par ho main waqt se pahle nahin marna chahta mujhe har us maut se shadid nafrat hai jo waqt se pahle kisi ko gale laga leti hai wo maut jo goli ke barud mein chhup kar hafton apne shikar ka pichha karti hai mujhe ek nazar nahin bhati main har din us maut ka gala dabochna chahta hun jo log khud apne halq par aur apni nabzon par tahrir karte hain mujhe wo udti hui maut hafton khulti hai jo kisi chhat par girne se pahle barbaad hone wale gharon ki ginti bhul jati hai mujhe ghin aati hai jacket mein qaid us maut se jis ko bachche aur budhe ka farq nazar nahin aata jo aazad ho kar sainkadon sinon par taqsim ho jati hai nitrogen ke nucleus mein rakh kar shahron par girai jaane wali maut jo aane wali zinda naslon ke aaza aur khadd-o-khal se jhankti hai salon tak mera khun chusti hai mujhe apni maut se mohabbat ke alawa har us maut se nafrat hai jo malak-ul-maut ke time table mein nahin likhi hui