zindagi simatti hai daeron ke andar hi kitni bar batti hai daeron ke andar hi daere se hote hain kuchh khutut milte hain kuchh khutut katte hain zawiye badalte hi zawiye badalte hi kitni shaklen mitti hain kitni shaklen banti hain daeron ke andar hi hum bhi sans lete hain zawiyon mein jite hain qaedon mein hanste hain phailte hain shaklon mein aur khutut bante hain jab khutut katte hain qaus qaus ki surat hum bhi phir simatte hain hum ki ek nuqta hain daeron ke andar hi ghatte badhte rahte hain zindagi simatti hai daeron ke andar hi kitni bar batti hai