babul ke darakht se kaho abhi masham-e-jaan mein har singhaar ki shaguftagi bade hi inhimak se bahaar-pash hai yahan jo mud ke dekhta hun adh-jale gulab ka badan shahadaton ke ramz par singhaar bhi luta gaya jo mud ke dekhta hun fakhta ka ahmarin lahu jabin-e-jaur ki sabhi raunaten mita gaya mere khilaf sazishon ka ye muhib silsila meri ana ke bankpan mein dafatan sama gaya chinar ke darakht se hai nariyal ke ped tak rawan dawan hamari khushbuon ka shokh silsila kabutaron ke ghol ki phaban hiran ki chaukdi hawa ke dosh-e-maghzar ko dulhan bana gai abhi meri zamin ki fazaen subh-e-fam hain dhuen ke nag se kaho badi hi sakht-jaan hain hamari wadiyon mein rang-o-nur ki latafaten samundaron ki sipiyon se pokharon ki ghoghiyon ne baiaton ke waste sipurd kab kiya hai ghairaton ke lala-zar ko abhi hisar-e-sang mein kanwal ke phul hain khile zaban-e-reg-e-surkh se kaho hamare panw jal gae to kya hua bahaar-e-sabz ke liye zamin to aaj mil gai