ye kis ne aag hote roz-o-shab mein mujh ko man kah kar pukara hai ki jis ki pyar mein dubi hui aawaz ne har aag ko shabnam banaya hai ki ab rutba mujhe man ka dilaya hai mere bachche main teri muntazar shayad azal se thi tere hi waste shayad main jannat chhod kar duniya mein aai thi ki ab jo tujh ko paya hai mere jalte badan mein mamta ki chhanw utri hai mere bachche main ab sahra nahin aisa shajar hun jis ke sae mein faqat tu hi nahin be-khwab meri zindagi bhi bahut aasudgi mein kho gai hai kahani jo adhuri thi mukammal ho gai hai