do lafzon ki duri par chahaton ke mausam

shab hai us ne mujh se kaha tha
jaanan

baitho
aaj bade din ba'd aai ho

shayad tum to in galiyon ko in raston ko darwazon ko
ek muddat se bhul chuki ho

rishton ke darwazon se darwaze milte hain
aur diwaren diwaron se

aankhon se ojhal hone se
rishte kam nahin pad jate

us ne kaha phir
baitho jaanan chae piyogi

aaj tumhein main apne hath ki chae la kar deta hun
pi kar mujhe batana tum

kaisi hai ye
jaanti ho na mujhe

bhulakkad sa hun main
chizen aksar rakh kar kahin pe bhi

kho jata hun
sochon mein gum ho jata hun

yaad nahin rahta hai aksar
chini dali hai ya phiki

lekin chhodo meri gumshudgi ki baaten
chae pi kar batlana tum

is mein mitha kam ya ziyaada
ya phiki hai

mitha dalna bhul gaya hun
ya phir

us ke chehre par aai
us ek tamanna ki wo rangat

shadabi main dekh rahi thi
us ki aankhen mere labon se

dad-talab thin
us ki aankhen dhund rahi thin jaane kya

meri aankhon mein
us ne kaha phir

jaanan
chae mithi hui to tum jaisi hai

phiki hui to mujh jaisi
hanste hanste chae ka phir sip liya main ne

us ka dhyan bata kar
phir baaton baaton mein main ne

us ka cup bhi pi dala
us chehre ki shadabi

ke murjhane se pahle pahle
us ek phul ke kumhlane se pahle pahle

chahat ke mausam ki sarhad
mithe phike

do lafzon ki duri par hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close