hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge chalo ammi chalo chal kar tamasha hum bhi bhi dekhenge zara in chhote qadmon se ye uthti tan to dekho bade banke sipahi hain nirali shan to dekho zara ye jashn-e-azadi-e-hindostan to dekho bada dilkash hai p t ka nazara hum bhi dekhenge hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge dukan ye toffee biscuit ki hai ai munne idhar aao khilaune kaise pyare hain kharido ghar ko le jao ye kaisi chatpati hai chat aapa jaan kha jao ye bachche bechte hain kaisa sauda hum bhi dekhenge hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge udhar hai park bachchon ka chalo aao zara ghumen zara chakkar ka jhula jhul kar hathi pe ja baithen zara taqdir apni aazmaen latri kholen ye hansti khelti bachchon ki duniya hum bhi dekhenge hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge kabaddi hai na kanche hain na gilli hai na danda hai na ye aawaragardi hai ladai hai na danga hai nahin be-kar majma ye to ek talimi-mela hai hamein rokenge kaise aaj abba hum bhi dekhenge hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge