sunaen tumhein baat ek raat ki election ke din ki siyah raat thi wo woton ki ginti wo hullad wo shor the jama wahan par kai wote chor machi ek halchal si elan se ki jite hain buddhu badi shan se nazar aae dale gale mein wo haar the pitthu bhi hamrah un ke hazar kai chaunk utthe unhen dekh kar ki the film ke actor beshtar shri buddha rae wo mashhur hain siyasat mein aa kar wo maghrur hain padi ek ladke ki un par nazar pakad hi liya bhid mein daud kar kaha mere hero zara nachiye wo filmi kathaen zara banchiye flat aap ka hai bada shandar badalte hain har sal aala si car giraenge kitne gharibon ke ghar gharibi ko roenge phir baith kar ye mana ki unche adakar hain gharibon ke dukh se khabar-dar hain jahezi chitaon ka uthta dhuan sunata dukhon ki hai kya dastan kai bar aai hai filmi qaza aji jite ji maut kya hai bhala diya sun ke neta ne us ko jawab siyasat ki bazigari hai janab ki zarre ko chamkae jun aaftab siyasat ka hai ab to khana-kharab adakar filmi hain hum to magar nahin hum se kam ye purane magar magarmachh ke aansu bahate hain sab nigal kar ye janta ko khate hain sab uchhal kud kar daud kar bhag kar dikhate hain janta ko apna hunar ye hum se bhi badh kar adakar hain ye jo des-bhagti ke autar hain