ai bachpane ki duniya to yaad aa rahi hai dil se meri sada-e-fariyaad aa rahi hai rahat suna rahi thi afsana saltanat ka thi man ki god mujh ko kashana saltanat ka wo ghar ki dur jis se thi gardish-e-zamana aazadiyon ka meri aabaad aashiyana phirti hai ab nazar mein taswir us makan ki arsh-e-barin se behtar thi sarzamin jahan ki nazuk-mizaj ban kar wo ruthna machalna sehn-e-makan mein din bhar wo kudna-uchhalna allah-re wo takhayyul allah-re saz-o-saman duniya ki saltanat thi is zindagi pe qurban us ahd-e-afyat mein ek bar phir sula de ai mere ahd-e-mazi phir ek jhalak dikha de bagh-e-jahan mein rakkha un shadiyon ne mujh ko rahat ki loriyan din aazadiyon ne mujh ko be-fikr zindagi thi khud hosh mujh ko kab tha ek kaif-e-be-khudi tha mast-e-mai-e-tarab tha ai umr-e-rafta tu ne ki mujh se be-walfai aa ja palat ke dam bhar main hun tera fidai dil mein shararten thin kaise ghazab ki pinhan rag rag mein bijliyan thin josh-e-tarab ki pinhan hun apni zindagi ka andaza karne wala jannat se la ke tu ne dozakh mein mujh ko dala