diq tujh se kitaben hain bahut karam kitabi tu dushman-e-duzdida hai khaki ho ki aabi alfaz ki kheti hai faqat teri chara-gah mani ki zamin tere sab sayon ne dabi hone ko teri asl hai sayyaad makin-gah kahne ko faqat teri haqiqat hai sarabi tu ne to har ek samt lagai hain surangen parina ho farman kitaben hun nisabi baadami ho kaghaz to maza aur hi kuchh hai luqma hua tahrir ka har maghz shitabi ghun sath hi gehun ke hai pista hua dekha bargashta waraq la na saka tujh pe kharabi kya khub hai ye majlis-e-auraq-e-kuhan bhi viran kutub-khanon ki dimak teri loby firdausi-o-khuldun ki kitaben hain hirasan wo qila-e-mani tera hamla hai jawabi parda hai khamoshi teri aahang-e-fana ki bhaunra hai faqat kunj-e-gulistan ka rababi tu chat gaya danish-e-kohna ki fasilen buniyaad-e-imarat ko hai dhana teri hobby aadad ke qalib mein hai to sifr ki taqat safhat ke surakh ka be-nam hisabi tarikh ke is cell mein insan ne pai ek aadh koi mauj-e-nafs wo bhi hababi bikte sar-e-bazar hain manind-e-zaghaal aaj jo taza-nafas khwab-e-taghayyur the shahabi kha jati hai ek din use sab gard-e-zamana mitti ki wo sahnak ho ki chini ki rakabi badli hui duniya mein taghayyur ka amal hai tu kirm-e-kitabi nahin ek kirm-e-khalal hai