go gulistan-e-jahan par meri nazren kam padin aur padin bhi to khuda shahid ba-chashm-e-nam padin kar rahi thi fasl-e-gul jab raaz-e-qudarat aashkar jab ugalti thi zamin ganjina-ha-e-par-bahaar khun ke aansu bhare the dida-e-namnak mein mukhtalif shaklen thin gham ki chehra-e-ghamnak mein fitratan dil mein na tha mere kabhi arman-e-aish band kar leta tha aankhen dekh kar saman-e-aish kya kahun ai ham-nafas sair-e-chaman ki dastan gul the jab shabnam-ba-kaf aankhen thin jis din khun-chakan aabshaaron ke muqabil baith kar roya hun main khar sahra ke bichha kar chin se soya hun main subh ko jab karwaten leti thin nahren bagh mein kya kahun kaisi chamak uthti thi dil ke dagh mein main ne dekhi hain yahan taron bhari raaten bahut aur ki hain fitrat-e-khamosh se baaten bahut kya bataun dil mein mere ek barchhi si gadi subh ko pahli kiran suraj ki jab mujh par padi mere nazzare mein muzmar tha mera haal-e-tabah aabla ban kar ubhar aati thi meri har nigah raat ki tarikiyon mein dil bahalta tha kabhi pur-khatar viraniyon mein main tahalta tha kabhi kya bataun main bhadak uthte the kyunkar dil ke dagh jab chaman karta tha raushan taza kaliyon ke charagh ashk-bari mein basar duniya ki raaten main ne kin be-kasi mein ek ek zarre se baaten main ne kin dabdaba aati thin aankhen koi hansta tha agar thi nashat-e-zindagi meri nazar mein pur-khatar