sachche khwab aur jhuti aankhen andhe raston ki hamrahi anjaan tahayyur ka pani aur istifhami lahjon ki do-dhaari talwaren teri qurb-sarae se ye zad-e-safar sath liya hai rukhsat ke rukhsaron par aansu ban kar girte lamhe ke hathon mein apne hone ka aaina de main us kanch badan se be-nam andeshon ka zangar khurach dalun aur ujle pani mein dekh sakun hijr-nagar ke tapte suraj ke niche umr safar ka sahra kitne kos pada hai