main ne kal ek khwab dekha ki main khwab dekh raha hun meri nind mere jism ke andar rah rahi hai mujh tak muntaqil nahin ho pa rahi aankhon mein basarat hai magar mujhe dikhai nahin de raha main chalta hun magar panw harkat nahin kar pate ghutan ke mare sans leta hun to ret munh se nikalti hai main khwab se be-dar ho jata hun khauf ki thakawat mere jism se utarne lagti hai to main mahsus karta hun main diwaron se is tarah guzar raha hun jaise shishe se raushni jaise darwaze ki durzon se hawa main hath lambe kar ke sitare tod lata hun aur panw phaila ke zamin mein utar jata hun mujh mein yak-dam khwahish paida hoti hai ki main chikhun chikhne ki andoh-nak kaifiyat ke bojh tale aa kar main ek bar phir dab jata hun