badan se puri aankh hai meri jao ja-namaz se apni pasand ki dua utha lo har rang ki dua main mang chuki baghban dil ka bij tere pas bhi na hoga dekho dhuen mein aag kaise lagti hai mere pairahan ki tapish mitti kaise jalati hai badan se puri aankh hai meri nigah jo tane ki zarurat hi kya padi hai meri barishon ke tin rang hain tuti kaman pe ek nishan khata ka pada hai hum chahen to suraj hamari roti pakae aur hum suraj ko tandur karen faisla chuka diya khata apni bhul gae nazar karne aae the chutki bhar aankh aankh teri galiyon mein to bazar hain zamin aankh chhod kar samundar mein so rahi jangal to sirf talash hai ghar to kaenat ke pichhwade hi rah gaya shikar kaman mein phans phans kar mara tum kaise shikari aankhen tewaron se jal rahi hain jism zindagi ki mulazmat mein hai tanhai kashkol hai hum ne aaankhon se shamshir khinchi aur rukhsat ki taswir banai raat god mein sulai aur chand ka juta banwaya hum ne rah mein apne pairon ko jana