bahaar-e-husn jawan-marg surat-e-gul-e-tar misal-e-khar magar umr-e-dard-e-ishq daraaz wo widyapati ki shairi ki masum-o-hasin-o-shokh radha wo apne khayal ka kanhaiya in shahron mein dhundne gai thi dastur tha jin ka sang-bari wo 'faiz'-o-'firaq' ziyaada taqdis-e-badan ki naghma-khwan thi tahzib-e-badan ki raaz-dan thi gulnar badan ki tahniyat mein gulnar labon se gul-fishan thi lab-ashna lab ghazal ke misre jism-ashna jism nazm-paikar lafzon ki hatheliyan hinai tashbihon ki ungliyan gulabi sarsabz khayal ka gulistan mubham se kuchh aansuon ke chashme aahon ki wo halki si hawaen sad-barg hawa mein muntashir the titli thi ki raqs kar rahi thi aur dard ke baadalon se chhan kar naghmon ki phuware pad rahi thi pur-shor munafiqat ke bazar afwahen farokht kar rahe the wo apni shikasta shakhsiyat ko ashaar ki chadaron ke andar is tarah sametne lagi thi ehsas mein aa rahi thi wusat nazron ka ufuq badal raha tha aur dard-e-jahan-e-adamiyat tute hue dil mein dhal raha tha is aalam-e-kaif-o-kam mein ek din ek hadse ka shikar ho kar jab khun ka kafan pahan liya to udtin saliben nauha-khwan thin khamosh tha karb-e-khud-kalami ab kuchh nahin rah gaya hai baqi baqi hai sukhan ki dil-nawazi 2 jannat mein hai jashn-e-nau ka saman mahfil mein 'majaz'-o-'bairan' hain maujud hain 'keats' aur 'shaili' ye marg-e-jawan ke sare aashiq khush hain ki zamin-e-pak se ek nau-marg-e-bahaar aa gai hai lipti hui khak ki hai khushbu aur saya-fagan sahab-e-rahmat