farogh-e-mah se kya jagmaga rahi hai bahaar gulon mein nur ki shamen jala rahi hai bahaar zamin-e-bagh ko jannat bana rahi hai bahaar sharab-e-husn ke saghar pila rahi hai bahaar bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar chaman bahisht hai mauj-e-sharab zamzam-e-kaif baras rahi hai gul-e-muddaa pe shabnam-e-kaif yahi nashat ke din hain yahi hai aalam-e-kaif ki zarra-zarra hai bazm-e-jahan ka mahram-e-kaif bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar farogh-e-rang se gulzar shoala-zar bhi hain fazaen husn ki nikhat se mushk-bar bhi hain dilon mein dard ke andaz be-qarar bhi hain masarraton ke ye din jaan-e-rozgar bhi hain bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar rabab-e-isq hain larzan hai ek tarana-e-naz jami hui hai abhi mahfil-e-shabana-e-naz abhi zaban-e-mohabbat pe hai fasana-e-naz ye tujh se kaun kahe ai nigar-khana-e-naz bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar gai bahaar zabanon pe nam baqi hai khayal ki tapish-e-na-tamam baqi hai mai-e-nashat ka bas ek jam baqi hai farogh-e-mah ki bas ek sham baqi hai bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar