kis se puchhun ki jhut sach kya hai tirgi kya hai raushni kya hai kaun meayar-e-khair-o-shar samjhae kaun takzib-e-jabr-o-jahl kare waqt kis samt hai rawan paiham wajh-e-takhliq-o-irtiqa kya hai zindagi wahm hai haqiqat hai shajar-e-dard saya-e-gham hai kis se mafhum-e-ma-o-man puchhun kaun taqdir-e-husn-o-ishq batae kis se puchhun salib-o-dar ka raaz azmat-e-jam-e-zahr kaun batae aql-o-danish pe kufr ke fatwe fikr-o-fan par hai tohmat-e-ilhad is taqaddus-maab duniya mein kis se puchhun main kaun hun kya hun koi afsana koi khwab hun main koi tahrir-e-na-tamam hun main koi sahra-e-dard-o-karb hun main khauf-o-khadshat ke jahannum mein kitni sadiyon se jal raha hun main