ujle ujle tanawar tanon par thame nakhl-zar muntashir in mein simab-gun nau-damida hilal an-ginat be-karani ke shaffaf zinon pe wo faslon ka bharam bastiyan dur dur aab-gun ek dhundalke mein lipti faza khwab-gun aur nazar ki pahunch past-o-baala mein be-rok main ne kaha kin ke namon se mansub honge ye takiye qadim shaiba sa ek ehsas raftar ka apne hone na hone ka be-sud dhyan achanak kahin ek darinde ka bain wahshat-alud bad-maza bu amaltas ki tez jhonka sa bharta udan jhad jhankar ke darmiyan par bachata simatta guzarta hua ek taaqub ki dahshat ki tham ja kahin odh le apna rup ek zarb-e-musalsal numudar ho ja magar hai kahan jo numudar ho ab ki hum is se aari hue ye bhulawa panah-gah-e-ikhfa ka kotah-daman gadha kitna payab tha jab wo mitti nam-alud ab tak wo uftad-gah ilm dar ki main ne pahchan li kaise pahchan li garm chhune mein ab tak wo sach aur zail shikanja sa ehsas ka rongta rongta chashm-e-bedar aur pani hi pani jahan tak nazar jae phaila hua diary mere purkhon ki rudad jal-thal zamin aasman ke siwa aur koi qadam rakhne ki ja nahin tez raftar bachcha sadak par karna koi khel hai us ka saya bani main ubharti idhar aur udhar dubti