jism ka jas rup ka ras kaam ka kas zindagi ki ye suhani dhup bahlati rahi hai mere man ko khub garmati rahi hai aarzuon ki pawan ko aur chamkati rahi hai apne-pan ko de ke ek nashsha nayan ko lazzaton mein dub kar bhi main ubharta hi raha hun soch ki be-tab lahren zehn mein raqsan rahi hain lekin ab to ek udasi chha gai hai soch ki sham aa gai hai zindagi ghabra gai hai