taq-e-dil pe teri yaadon ko saja rakha hai is tabarruk ki zarurat mujhe jab padti hai apni aankhon se lagati hun inhen chumti hun aur phir taq pe dobara saja deti hun ahd-e-furqat mein shab-o-roz guzar jate hain teri yaaden hain kabhi phul ki surat dil mein aur kabhi motiyon ki tarah se aansu ban kar chashm-e-ehsas se daman pe bikhar jati hain main unhen saint ke rakhti hun guzare ke liye teri yaadon ko magar saint ke kab tak rakhun barf lamhon mein ye hathon se phisal jati hain us se kahna ki december bhi chala aaya hai sard mausam mere ehsas ko garmata hai dil-e-wahshi to dhadakta hi chala jata hai ruk na jae kahin tajdid-e-tamanna ki ghadi makhmalin shauq ki chadar hai mere sar pe padi us se kahna ki december na guzar jae kahin aur taqwim-e-mohabbat na bikhar jae kahin