khush-gawar mausam mein an-ginat tamashai apni apni teamon ko dad dene aate hain apne apne pyaron ka hausla badhate hain main alag-thalag sab se barahwen khiladi ko hoot karta rahta hun barahwan khiladi bhi kya ajab khiladi hai khel hota rahta hai shor machta rahta hai dad padti rahti hai aur wo alag sab se intizar karta hai ek aisi saat ka ek aise lamhe ka jis mein saneha ho jae phir wo khelne nikle taliyon ke jhurmut mein ek jumla-e-khush-kun ek nara-e-tahsin us ke nam par ho jae sab khiladiyon ke sath wo bhi mo'atabar ho jae par ye kam hi hota hai phir bhi log kahte hain khel se khiladi ka umr-bhar ka rishta hai umr-bhar ka ye rishta chhut bhi to sakta hai aakhiri whistle ke sath dub jaane wala dil tut bhi to sakta hai tum bhi iftikhar-arif barahwen khiladi ho intizar karte ho ek aise lamhe ka ek aisi saat ka jis mein hadisa ho jae jis mein saneha ho jae tum bhi iftikhar-arif tum bhi dub jaoge tum bhi tut jaoge
This is a great khiladi shayari in hindi. True lovers of naraz shayari facebook will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore taliyon pe shayari. Please share if you liked this!!!