wahime ki siskiyan chaaron taraf aur un mein ek sada sab se alag jaise sahra mein gulab tirgi mein jaise ubhre mahtab maut ki parchhaiyon mein jaise raushan zindagani ki lakir munkiron ke darmiyan jaise masih jaise bipta mein ghire insan ko apne murshid ka mile aashirwad kaurwon ke dal ka nargha aur is mein jaise krishn bansuri ki mohne wali sada halki halki dhimi dhimi kaif-za ye sada hai azm-e-insan ka payam azm-e-insan ki sada aafaqiyat azm-e-insan ki sada la-faniyat azm-e-insan ki sada jamhuriyat ye sada hai ek nawa-e-dil-sitan ye sada aflak mein parcham-fashan ye sada mahaul mein har-dam rawan ye sada har dil ki dhadkan se ayan ye sada hai ruh jo hai jawedan jism marta hai sada marti nahin