ashk do-chaar baha lun to chale jaiyega aatish-e-dil ko bujha lun to chale jaiyega hasrat-e-did mita lun to chale jaiyega husn ko dil mein basa lun to chale jaiyega hausla gham ka badha lun to chale jaiyega marg ko zist bana lun to chale jaiyega khatir-e-dost ke unwan ki wazahat kar ke ek zara dil ko mana lun to chale jaiyega be-khudi khush-basari aur masarrat ke ewaz gham-e-dauran ko utha lun to chale jaiyega mehr-e-ulfat ke hasin lamhe bhula kar ai dost zauq-e-hasti ko mita lun to chale jaiyega talkhi-e-waqt ka shikwa na rahe aap ke baad bar-e-ehsan utha lun to chale jaiyega aap ki chashm-e-karam ne mujhe madhosh kiya apne ahwal mein aa lun to chale jaiyega dil jo tadpae mujhe dekhne aa jaen aap jazb is darja badha lun to chale jaiyega