aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi des ka jhanda uncha rakkhen hath banen fauladi purab mein phir lahra uttha amn-o-aman ka parcham barg-e-gul par nach rahi hai moti jaisi shabnam nadiyon ne phir chhed diya hai aazadi ka sargam aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi des ka jhanda uncha rakkhen hath banen fauladi aazadi ki khatir di hai hum sab ne qurbani abul-kalam aur nehru jaise neta the la-sani un ke azm ke aage ho gae dushman pani pani aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi des ka jhanda uncha rakkhen hath banen fauladi mazi ke gham aaj bhula kar mustaqbil chamkaen aapas ke sab bhed mita kar pyar ke naghme gaen gang-o-jaman ki is dharti ko phulon se mahkaen aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi des ka jhanda uncha rakkhen hath banen fauladi