ujad si dhup aadhi saat ki na-mukammal alamaten dagh dagh aankhen ye tila tila utarti bheden kahan hai jo un ke sath hota tha ek farishta kati phati zard sham se kaun badh ke puchhe ki ek ek barg aagahi ka hawa ke pile larazte hathon se gir raha hai tamam mausam bikhar raha hai ki dhime dhime se aati shab ka ye aabi manzar khunuk sa shisha ki wadi wadi ke darmiyan hai agar udhar ki sada hai koi to us taraf hai idhar ki aawaz is taraf hai