jo tanhai ke kuchh lamhe kabhi aa jaen hathon mein to mutthi bhinch kar apni chamakte jugnuon ki raushni jaise ye pal apni hatheli par saja lena ki hathon se nikal jate hain kitne qimti lamhe jo tanhai ki wahshat se nikal jaane ki ujlat mein hum aksar chhu nahin pae utar kar ruh ki gahraiyon mein raushni bharne se pahle hi jhatak kar hum jinhen phir laut aate hain isi be-mehr hangamon ki duniya mein jahan har pal adhura hai jahan har sath saya hai andhere is nagar mein an-ginat sadiyan bitane mein kabhi mil jaen kuchh lamhe to mutthi bhinch kar apni chamakte jugnuon ki raushni jaise ye pal apni hatheli par saja lena