suubat-e-jaan qaran qaran hai zakat-e-mohlat hai lamha lamha wo ungliyan ab thaki hui hain jinhon ne barg-e-khazan-zada ki hatheliyon par badan ki pahli sada likhi thi lahu ki pahli dua likhi thi jinhon ne aiman ki wadiyon mein hajar hajar par tamam makhluq-e-arz ke nam zindagi ke itab likkhe sadaqaton ke nisab likkhe wo hont bhi ab lahu lahu hain jinhon ne pusht-e-safar pe mohar-e-fana ko chuma jinhon ne sahra mein sham aai to os ke bund bund girne ki aarzu ke salam phere jinhon ne har subh untni ke thanon se bahti kiran kiran par yatim bachchon ko palne ka sawab manga khuda se apni musibaton ka hisab manga wo sari aankhen ghurub-e-manzar ke daldalon mein dhansi hui hain jinhon ne sahra mein chashma-e-subh-e-sandlin par wo log dekhe jo halqa halqa inad mein the giroh-e-ahl-e-fasad mein the jinhon ne sarsabz shakh-saron ke sae sae guzarti nahron ke khwab dekhe safar safar bas sarab dekhe suubat-e-jaan qaran qaran hai zakat-e-mohlat hai lamha lamha