titliyan nachti hain phul se phul pe yun jati hain jaise ek baat hai jo kan mein kahni hai khamoshi se aur har phul hansa padta hai sun kar ye baat dhup mein tezi nahin aise aata hai har ek jhonka hawa ka jaise dast-e-shafqat hai badi umr ki mahbuba ka aur mere shanon ko is tarah hila jata hai jaise main nind mein hun aurten charkhe liye baithi hain kuchh kapas otti hain kuchh silai ke kisi kaam mein masruf hain yun jaise ye kaam hai dar-asl har ek shai ki asas ek se ek chuhul karti hai koi kahti hai meri chudiyan khankin to khankhaari meri sas koi kahti hai bhari chandni aati nahin ras raat ki baat sunati hai koi hans hans kar baat ki baat sunati hai koi hans hans kar lazzat-e-wasl hai aazar, koi kahti hai main to ban jati hun bimar, koi kahti hai main bhi ghus aata hun is shish-mahal mein dekho sab hansi rok ke kahti hain nikalo is ko ek parinda kisi ek ped ki tahni pe chahakta hai kahin ek gata hua yun jata hai dharti se falak ki jaanib puri quwwat se koi gend uchhaale jaise ek phudakta hai sar-e-shakh pe jis tarah koi aamad-e-fasl-e-bahaari ki khushi mein nache gundni bojh se apne hi jhuki padti hai naznin jaise hai koi ye bhari mahfil mein aur kal hath hue hain pile koyalen kukti hain jamunen pakki hain, aamon pe bahaar aai hai arghanun bajta hai yakjai ka nim ke pedon mein jhule hain jidhar dekho udhar sawani gati hain sab ladkiyan aawaz mila kar har-su aur is aawaz se gunj utthi hai basti sari main kabhi ek kabhi dusre jhule ke qarin jata hun ek hi kam hai, wahi chehra nahin aakhirash puchh hi leta hun kisi se badh kar kyun habiba nahin aai ab tak? khilkhila padti hain sab ladkiyan sun kar ye nam lo ye sapne mein hain, ek kahti hai baoli sapna nahin, shahr se aae hain abhi dusri tokti hai baat se baat nikal chalti hai that ki aai thi baraat, chambeli ne kaha band-baja bhi tha, dipa boli aur dulhan pe hua kitna bikher kuchh na kuchh kahti rahin sab hi magar main ne sirf itna puchha wo nadi bahti hai ab bhi, ki nahin jis se wabasta hain hum aur ye basti sari? kyun nahin bahti, chambeli ne kaha aur wo bargad ka ghana ped kinare us ke? wo bhi qaem hai abhi tak yunhi wada kar ke jo 'habiba' nahin aati thi kabhi aankhen dhota tha nadi mein jakar aur bargad ki ghani chhanw mein so jata tha mah o sal aate, chale jate hain fasl pak jati hai, kat jati hai koi rota nahin is mauqe par halqa-dar-halqa na aahan ko tapa kar dhaalen koi zanjir na ho! zist-dar-zist ka ye silsila baqi na rahe! bhid hai bachchon ki chhoti si gali mein dekho ek ne gend jo phenki to lagi aa ke mujhe main ne ja pakda use, dekhi hui surat thi kis ka hai main ne kisi se pucha? ye habiba ka hai, ramzani qasai bola bholi surat pe hansi aa gai us ki mujh ko wo bhi hansne laga, hum donon yunhi hanste rahe! der tak hanste rahe! titliyan nachti hain phul se phul pe yun jati hain jaise ek baat hai jo kan mein kahni hai khamoshi se aur har phul hansa padta hai sun kar ye baat!
This is a great ye raat shayari. True lovers of tere chudiyan shayari hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this masroof shayari sms hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!