barf ke shahr ki viran guzargahon par mere hi naqsh-e-qadam mere sipahi hain mera hausla hain zindagiyan apne gunahon ki panah-gahon mein hain raqs-kunan raushaniyan band darwazon ki darzon se tapakti hui qatra qatra shab ki dahliz pe girti hain kabhi koi madhosh si le jama mai odh ke aati hai guzar jati hai raat kuchh aur biphar jati hai aur badh jati hain khamosh khadi diwaren be-sada sadiyon ke chune se chuni diwaren jo ki mazi bhi hain mustaqbil bhi jin ke pichhe hai kahin aatish-e-lamha-e-maujud ki jo lamha-e-maujud ki hasrat hai meri nazm ki hairat hai jise dhundhta phirta hun main ghumta phirta hun main barf bhari raat ki virani mein an-kahi nazm ki tughyani mein hain bhanwar kitne guhar kitne hain kitne alapen pas-e-parda la chashm-e-na-bina ke aafaq mein kitne be-rang kare kitne dhanak rang khala kitne sapne hain ki jo shahr ke tang pulon ke niche resturanon ki mahak odh ke so jate hain kitni ninden hain ki jo apne shabistanon mein walium chatti hain jagti hain