ye kitabon ki saf-ba-saf jilden kaghazon ka fuzul istimal raushnai ka shandar israf sidhe sidhe se kuchh siyah dhabbe jin ki taujih aaj tak na hui chand khush-zauq kam-nasibon ne basar auqat ke liye shayad ye lakiren bikher dali hain kitni hi be-qusur naslon ne in ko padhne ke jurm mein ta-umr le ke kashkul-e-ilm-o-hikmat-o-fan ku-ba-ku jaan ki bhik mangi hai aah ye waqt ka azab-e-alim waqt khallaq be-shuur qadim sari tarifen un andheron ki jin mein partaw na koi parchhain aah ye zindagi ki tanhai sochna aur sochte rahna chand masum pagalon ki saza aaj main ne bhi soch rakkha hai waqt se intiqam lene ko yunhi ta-sham sade kaghaz par tedhe tedhe khutut khinche jaen