ye gulistan ye lab-e-ju ye parindon ke hujum phul par tut ke bhaunron ka ye raqs-e-masum in gharibon ko meri wahshat-e-dil kya malum gham ka ehsas yahan bhi hai ba-dastur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe mutrib aasudgi-e-saz mujhe deta hai ek taskin-e-gham-andaz mujhe deta hai koi har naghme se aawaz mujhe deta hai ye karishme to kiye dete hain mashur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe ye wo khalwat hai jahan masiyaten gati hain ismaten kaudiyon ke mol bhi bik jati hain shokh nazren to mere nafs ko pighlati hain is jahannam mein thaharna nahin manzur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe is irade se ki kanton se chhuda lun daman main bayaban se palat aaya tha su-e-gulshan khar to khar yahan phul bhi nikle dushman kar sakengi ye fazaen bhi na masrur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe mere majruh tabassum pe khafa hain ahbab meri mazlum khamoshi pa hain kya kya na itab ban nahin padta mujhe in ke sawalon ka jawab kya karun main ki khushi ka nahin maqdur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe ye hasin rah-guzren aur ye aiwan sare jin ke sae se larazte hain ghamon ke mare khun-e-mazdur piye sar-ba-falak minare mujh ko dar hai na bana den kahin maghrur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe ye gharibi ka dayar aah ye usrat ka jahan khokhle jism liye aah ye bhuke insan nale karti hui lashen ye asir-e-zindan ye saman karne laga muztar o ranjur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe ye shiwale bhi hain kya jin mein riya palti hai yahan har sine mein sangin badi dhalti hai yahan mazhab pa tassub ki chhuri chalti hai yahan raste se nazar aate hain nasur mujhe le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe