aankhen miche soch mein gum dhoni ramae koi sadhu jaise baitha ho bachche khel rahe hain jin ki chikhon se khamoshi ke sakin chauhad mein halchal jhonke aate hain lekin ye chup sadhe rahta hai maut bhi shayad us ke budhape ko chhune se darti hai us ka tan mazi se bojhal hai aur hamare din us ke bhaari-pan ko sahmi sahmi nazron se dekh rahe hain us ke patton ne kyun har konpal ko dhanp rakha hai us ki shakhen kyun mitti mein ghus kar jad ban jati hain