aa raha hai ek sitara aasman se tut kar daudta apne junun ki rah par diwana-war apne dil ke shoala-e-sozan mein khud jalta hua muntashir karta hua daman-e-zulmat mein sharar apni tanhai pe khud hi naz farmata hua shauq par karta hua aain-e-fitrat ko nisar kis qadar bebak kitna tez kitna garm-rau jis se sayyaron ki aasuda-khirami sharmsar mauja-e-dariya ishaaron se bulati hai qarib apni sangin god phailae hue hai kohsar hai hawa bechain aanchal mein chhupane ke liye badh raha hai kurra-e-giti ka shauq-e-intizar lekin aisa anjum-e-raushan-jabin o tabnak khud hi ho jata hai apni tabnaki ka shikar