pakki gandum ke khoshon mein umadte din ke deron mein andhere ki ghani shakhon parindon ke baseron mein thake baadal se girte nam ke andar utarti sham ke andar dawam-e-wasl ka ek khwab hai jo sans leta hai mahakti sar-zaminon mein makanon mein makinon mein tere mere ilaqon mein hamare ahd-namon mein larazte baadbanon mein kahin duri ke giton mein kahin qurbat ki tanon mein azal se ta-abad phaili hui is chadar-e-aflak ke andar rida-e-khak ke andar hamari nind ki galiyon mein apni dhun bajata hai makan-e-afiyat ke band darwaze giraata hai