hawaen bhi baadban bhi mere samundaron ke sukut mein be-libas naslon ke reza reza jamal ke sab nishan bhi mere mere shikasta wajud ki lahlahati faslon pe girne wali shafiq shabnam mein ret ke aasman bhi mere qadim lafzon ke gham mein be-jaan manzaron ke jahan bhi mere sitara-e-dil ki wusaton mein khile hue jangalon ke asrar saaton ke guman bhi mere mere tasawwur ke bojh se tutti zamin par halak hote hue labon par wafaon ke sab nishan bhi mere gulab-chehron pe sabz aankhon ke manzaron mein najat-e-gham ki shikasta khwahish ki rakh meri bujhe hue karwan bhi mere jo kho gae aur jo aane wale dinon ka dukh hai wahi mere be-wajud chehre sitara-e-dil ki be-panahi ka pasban hai kuchh aur ho bhi to raegan hai