'ghaalib' tera kalam nawa-e-sarosh hai ilham-e-ghaib-o-naghma-e-saz-e-khamosh hai aisa bhara hua hai ghazal mein singar-ras ek jannat-e-samaa hai firdaus-e-gosh hai aasan nahin jamal-e-maani ka dekhna har shahid-e-khayal tera parda-posh hai jo baat hai wo shokhi-e-guldasta-e-chaman jo lafz hai bahaar-e-kaf-e-gul-farsoh hai mauj-e-rawan hain misra-e-be-sakhta tere bahr-e-sukhan mein bahr-e-mohabbat ka josh hai in motiyon ki qadr hai shahon ke taj mein parkhe nazar se un ko jo gauhar-farosh hai kaif-e-sukhan se mast hun teri ghazal sunin is bazm mein jinhen hawas-e-naw-nosh hai tu ne chaman chaman mein shagufe khila diye fitrat tere kalam ki gulshan-ba-dosh hai afsun-taraaziyan teri munh ki lati rahin gul ki zaban band hai ghuncha khamosh hai baala tera maqam duniya-e-sher mein 'urfi' bhi ek banda-e-halqa-e-ba-gosh hai duniya tere khayal mein hai chashma-e-sarab rangini-e-nishat-o-tarab khwab-e-dosh hai teri nazar mein shahid-o-mashhud ek hain duniya-e-be-khudi tujhe duniya-e-hosh hai dana teri nigah mein tha khirman-e-murad tujh ko khabar thi qatre mein dariya ka josh hai dair-o-haram pe bhi nahin ye raaz munkashif harf-e-azal hai kaun jo mana-farosh hai afsurda dagh se hai tere mahfil-e-adab ne wo surur-o-soz na josh-o-kharosh hai kitni tere mazar pe chhai hai bekasi ek shama ashk-rez thi wo bhi khamosh hai chhalki jo thi kabhi tere rangin ayagh se 'kaifi' usi sharab ka ek jura-nosh hai