bandh gai hai rahmat-e-haq se hawa barsat ki nam khulne ka nahin leti ghata barsat ki ug raha hai har taraf sabza dar-o-diwar par intiha garmi ki hai aur ibtida barsat ki dekhna sukhi hui shakhon mein bhi jaan aa gai haq mein paudon ke masiha hai hawa barsat ki khud-bakhud taza umangen josh par aane lagin dil ko garmane lagi thandi hawa barsat ki wo duaen mai-kashon ki aur wo lutf-e-intizar hae kin nazon se chalti hai hawa barasta ki main ye samjha abr ke rangin tukde dekh kar takht pariyon ke uda lai hawa barsat ki naz ho jis ko bahaar-e-misr-o-sham-o-rum par sar-zamin-e-hind mein dekhe faza barsat ki