chha gai phir aasman par udi udi si ghata raqs karti hain hawaen muskuraati hai faza har taraf bajne lagin barsat ki shahnaiyan husn bazm-e-naz mein lene laga angdaiyan dard mein dubi papihe ki sada aane lagi bhigi bhigi mausam-e-gul ki hawa aane lagi hae kis andaz se mutrib ne chheda hai sitar hans rahi hai mast ho kar sabz kheton ki bahaar sabz shakhon ki ragon mein hai jawani be-qarar naddiyan umdi hui hain ga rahe hain aabshaar dosh par gagar uthae ja rahi hain dewiyan jin ki har jumbish se ek sail-e-tarannum hai rawan wo jawani dam-ba-dam leti hui angdaiyan halki halki wo phuwaren badliyon ka wo dhuan aam ke baghon mein wo kafir papihon ki pukar wo hawaon ki latafat wo fazaen mushk-bar nazninon ke wo jamghat aur wo sahra ka saman dosh par bikhri hui zulfen basanti sadiyan satah par maujon ke halkoron ka wo rangin saman wo hawaen pech-o-kham khati hui wo naddiyan dahr ki afsurda nabzon mein hararat aa gai phul mein khushbu hawaon mein latafat aa gai bundiyon par ragni ka dewta gane laga sabza lahka phul mahke rang sa chhane laga