kyon na apni hasti-e-nashad ka shikwa karun ranj-o-gham ghere hon jab mujh ko to main bhi kya karun meri qismat mein likhi hai khar-e-sahra ki khalish kis tawaqqo par tamanna-e-gul-e-raana karun sabr ka phal log kahte hain milega ek din aah kab tak intizar-e-wada-e-farda karun kaun karta hai mudawa khatir-e-nashad ka apni mahrumi ka kis ke samne charcha karun dil ke daghon ko samajh lun kis tarah gulha-e-tar gham se kaise saz-o-saman-e-khushi paida karun gardish-e-dauran se kah do is pe main raazi nahin chand saat muskura kar umr-bhar roya karun main azal se darmiyan-e-ranj-o-rahat hun asir gham ko apnaun ki rahat ko karun to kya karun ek muddat se pareshan khatir-e-nashad hai sochta hun para-ha-e-dil ko phir yakja karun ek haalat par kabhi rahta nahin mujh ko qarar har sukun ke ba'd ye hai aarzu tadpa karun wo sukun-e-mustaqil hai ye hai paiham iztirab zindagani ka gila ya maut ka shikwa karun