insaniyat ka az-sar-e-nau haq ada karen phir bab-e-inqalab-e-watan aaj wa karen uth halqa-e-farang ki har saf ko tod kar phir hurriyat ko dam-e-khirad se riha karen kuchh rah gain ragon mein hain bunden jo khun ki mehrab-e-amn-e-hind pe chal kar fida karen barsaen inqalab ki paiham wo barishen rangin aaj chehra-e-mauj-e-saba karen phir gharq kar ke mazhab-e-nau ki har ek shai is hind-e-bad-nasib ke haq mein dua karen har shai hai inqalab ke qadmon pe sajda-rez aise mein hum namaz-e-baghawat qaza karen