har ek phul hua rang-bar holi mein har ek shakh hai surat-nigar holi mein gulon se mauj-e-shafaq rang khelne aai ajab hai arz-o-sama par bahaar holi mein wo surkh-posh gulistan mein rang khela hai gul-o-saman pe hai turfa nikhaar holi mein har ek chiz se rang-e-wafa tapakta hai shahid-e-ishq ki hai yaadgar holi mein kuchh is tarah se hui gul pe shabnam-afshani qaba-e-gul hai jawahar-nigar holi mein jidhar nigah uthi surkhiyan nazar aain har ek shai hai fasana-nigar holi mein hai kaenat mein josh-e-numu ki jumbish se har ek zarre ka dil be-qarar holi mein qadam ke niche hai farsh-e-zamurradin 'rana' hai sar pe saya-e-abr-e-bahaar holi mein