chalo mil-jul ke hum rishton ke basi-pan ka hal sochen achanak phir usi andaz se nazren milin apni jab hum ne pahle pahle ek-duje ko saraha tha sahm jaen ye apni un tamannaon ki aahat se dhadakte dil se jab hum ne koi sapna sajaya tha wo hi be-sakhta si sadgi ke pal jien phir se wafa ka ya jafa ka zikr tha na nam rishton ka mahak thi ek kashish thi ajnabi-pan ki fazaon mein hare ek jhonke mein aata tha koi paigham rishton ka sabhi kuchh hum samajh baithen hain aao ye bharam toden kisi kone mein to hoga koi ehsas an-jaana adhura an-chua sa an-suna sa aur an-dekha hamari rah takta hoga koi mod diwana chalo mil-jul ke hum rishton ke basi-pan ka hal sochen