kamal karte hain ishq wale ye dastan hai qurun-e-ula se peshtar ki jab ek ladki se dewta ne birog paya to aansuon ka mahal banaya ye ishq tha so zamin ki buniyaad hil gai thi sadak ke taron se mil gai thi ye ishq tha so na us ne lamhon se mat khai na us ko sadiyan bigad pain katas ab bhi wahin khada hai har ek patthar gawah ban kar wahin pada hai ye khak pahle hi muztarib thi ab aur hairan ho gai hai pujariyon ke nafas ki utran hawa musalman ho gai hai mohabbaton se bhare sahife to taqchon mein saja diye hain aqidaton ne shiwa ke aansu wuzu ke qabil bana diye hain nasib wale hi aansuon se wuzu karenge qaba-e-girya rafu karenge katas apne hi aap mein gum adam se ilhaq kar raha hai kai mazahib ki lau jalae sada-e-ilhad kar raha hai aur is jhamele ke pas baitha koi tumhein yaad kar raha hai ajab masafat se chur hai ye ajib fariyaad kar raha hai ise nikalo ye is jagah ka sukun barbaad kar raha hai kamal karte hain ishq wale ye dastan hai qurun-e-ula se peshtar ki jab ek ladki se dewta ne birog paya to aansuon ka mahal banaya