chamakta hun har roz main aasman par dikhata hun duniya ko yun apne jauhar nahin samne mere tikta andhera mere dam se hota hai jag mein ujala ishaare se mere badalte hain mausam guhar mujh pe apne lutati hai shabnam mere rab ne taufiq bhi ye mujhe di pakata hun faslon ko yani tumhaari barasta hai pani meri koshishon se hare jis se rahte hain ped aur paude kali mere aane se khilti hai dil mein zamane ko hai raushni mujh se milti gharaz ye samajh lo ki raushan diya hun mere pyare bachcho batao main kya hun