khamushi rengti hai rahon par ek afsun-ba-dosh khwab liye raat ruk ruk ke sans leti hai apni zulmat ka bojh uthae hue muzmahil chand ki shuaon mein bite lamhon ki yaad raqsan hai jaane kin mah-o-sal ka saya waqt ki aahaton pe larzan hai ek yaad ek tasawwur-e-rafta sina-e-mah se ubharta hai hai ye sarshaari-e-hayat ka rang dard kin manzilon se guzra hai